Hazrat Khwajah Shah Afaq Delhvi
Rahmatullah Alayh
Hazrat Shah Muhammad Afaq Rahmatullah Alayh 1160 Hijri mein peda hue. Aap Hazrat Khwaja Zia Ullah Naqshbandi Rahmatullah Alayh ke halqa Eradat mein daakhil hue. Kuch arsay ke baad hi Hazrat Khwaja Zia Ullah Naqshbandi Rahmatullah Alayh ne aap ko Khirqah e Khalafat se nawaz diya. Aap Khwaja Zia Ullah Naqshbandi Rahmatullah Alayh ke kulfa mein mumtaz thay .
Allah Taala ne Hazrat Shah Muhammad Afaq Rahmatullah Alayh ko qubool aam aataa farmaya aur Shuhrah e Afaq banaya. Dehli se Kabul tak logon ne aap se faiz uthaya. Aap Rahmatullah Alayh ki buzurgi ka andaza is baat se lagaya ja sakta hai kay Hazrat Shah Ghulam Ali Rahmatullah Alayh apne baaz mureedon ko aap ki khidmat babarkat mein taleem o takmeel ke liye bhaja kartethay. Yeh mureed aap se tarbiyat haasil karte lekin un ki takmeel isi waqat poori samjhi jati jab aap Rahmatullah Alayh un ko mukammal paate .
Jab asp Rahmatullah Alayh Afghanistan tashreef le gaye to bohat se log aap Rahmatullah Alayh ke halqa e eradat mein shaamil ho gaye aur Afghanistan ke Badshah Shah Zaman ne bhi baet ka sharf haasil kya. Sulooq mein apne shyokh karaam aur aba e azaim ki terhan ali himmat o buland hosla aur sargaram thay. Molana Shah fazl e Rehman farmatay hain ke hamaray Hazrat Rahmatullah Alayh das hazaar martaba Darood Shareef aur pachaas hazaar martaba Kalma parhte thay aur das Paaray Quran Majeed Tahajid mein parhnay ka mamool tha aur kuch maloom nahi hota tha. Das paaray itni jaldi khatam ho jatay thay ke aik anjaan aadmi samjhay kay sirf aik hi Parah parha hoga. Hazrat Molana Shah fazl e Rehman farmatay hain kay Hazrat Shah Aafaq Rahmatullah Alayh paanchon waqat Salt al tasbih parhte thay. Molana sahib farmatay hain kay hamaray Hazrat Shah Aafaq Rahmatullah Alayh sab baatein mawafiq sunnat ke karte thay. Lekin kasar e nafsi se aisa farmatay kay hum se jo koi baat mawafiq sunnat ke ho jati to arsh se aisa faiz aata kay hum tar batar ho jatay .
Aap ne tasawwur e Sheikh par bohat zor diya hai aap zikar shash jahat karte thay yani lateefa aalam. Is ke baad nifi asbat bajis dam ba Adad taaq yani aik dam mein ikees baar pohanchate thay.Aap Rahmatullah Alayh ki tawajah ke chaar tareeqay thay. Nazri. Lasani. Qalbi aur Rohi .
Hazrat molana Shah Fazl e Rehman farmatay hain kay Dehli mein hamaray paas paanch rupay thay hum ko fikar thi kay watan mein apni walida Majida ko bhaij den. Hazrat Shah Aafaq Rahmatullah Alayh ne mujh se poocha kya fikar hai. Mein ne arz kya to asp Rahmatullah Alayh ne farmaya kay lao hum bhaij den ge. Baad azan maheena ke baad aap Rahmatullah Alayh ne khabar di kay tumahray rupay pahonch gaye lekin hum isi waqt samajh gaye thay kay rupay pahonch gaye hain. Baad azan jab hum ghar puhanche to maloom howa kay isi shab khud Hazrat Shah Aafaq Rahmatullah Alayh ne darwazay par pukaar kar woh rupay parda se dey dye aur hmari walida sahibaa se kaha kay tumhara beta kheriyat se hai .
Asp 7 Muharam 1251 Hijri ko is daar e faani se rukhsat hue. Asp Rahmatullah Alayh ka mazaar shareef Dehli ki sabzi manndi ke qareeb Mughl pura mein aattay ki mil ke mutasil aik choti Masjid ke aqab mein hai .